Others

"Hai justujoo keh KHoob say hai KHoob tar kahaN
Ab daikheeay THehertee hai ja kar nazar kahaN"

Ibn-e-Insha

Nasir Zaidi

Khwaja Altaaf Hussain Hali

more to come...

Kal chaudhveeN kee raat thee shab bhar raha charcha tera
Kuch nay kaha yeh chand hai kuch nay kaha chehra tera

Hum bhee vaheeN maujood thay hum say bhee sub poocha kiay
Hum hans diay hum chup rahay manzoor tha pardah tera

Is shehr maiN kis say milaiN hum say to chhooTee mehfilaiN
Har shaKHs tera naam lay har shaKHs deevana tera

Koochay ko teray chhoR kar jogi hee ban jaeN magar
Jungle teray, parbat teray, bastee teree, sehra tera

Too bawafa, too meherbaN, hum aur tujh say badgumaaN
Hum nay to poocha tha zara, yeh wasf kyon Thera tera

Hum par yeh saKHtee kee nazar, hum hain faqeer-e-rahguzar
Rasta kabhee roka tera, daman kabhi thama tera

Do ashk janay kis liay palkon pay aa kar tik gaey
Altaaf kee barish teree, akraam ka dariya tera

HaaN haaN teree soorat haseen laikin too aisa bhee nahiN
Is shakhs kay ash'ar say shohra hooa kya kya tera

Baydard suntee ho to chal, kehta hai kya achchee gazal
Aashiq tera, ruswa tera, shaer tera, 'Insha' tera

Woh meray GHam ka madavah nahiN honay daita
Zarra-e-dard ko sehra nahiN honay daita

Saath rakhta hooN hamaisha teree yadoN kee dhanak
MaeN kabhi KHud ko akaila nahiN honay daita

ZaKHm bharta hai naya zaKHm laganay kaileeay
Kya maseeha hai keh achcha nahiN honay daita

Jis kay anjaam say TooTay mera pindaar-e-ana
MaeN woh aaGHaaz dobara nahiN honay daita

Rok daita hooN umadtay hooay toofaN 'Nasir'
Qatra-e-ashk ko dariya nahiN honay daita

Hai justujoo keh KHoob say hai KHoob tar kahaN
Ab dekheeay Thehertee hai ja kar nazar kahaN

Ya rab is iKHtilat ka anjaam ho bakhair
Tha us ko hum say rabt, magar is qadar kahaN

Ik umr chaheeay keh gavarah ho naish-e-ishq
Rakhee hai aaj lazzat-e-zaKHm-e-jigar kahaN

Hum jis pay mar rahay haiN woh hai baat hee kuch aur
Alam maiN tujh say laakh sahee too magar kahaN

Hotee nahiN qubool duaa tark-e-ishq kee
Dil chahta na ho to zubaN maiN asar kahaN

'Hali' nishat naGHma-o-mai dhoondtay ho ab
Aey ho waqt-e-subha, rahay raat bhar kahaN

Back to Poetry homepage

Back to the main page

megahertz.njit.edu/~aaz6893