![]()
![]()
"Na poochh kaisay guzartee hai
zindagi 'Nasir'
Bus aik jabr hai yeh iKHtiyaar agar hai bhee"
![]()
more to come...
![]()
Kuch yaadgaar-e-sheher-e-sitamgar
hee lay chalaiN
Aaey haiN is galee maiN to pathar hee lay chalaiN
YooN kis tarha katay ga kaRi dhoop ka safar
Sar per khayaal-e-yaar kee chaadar hee lay chalaiN
Ranj-e-safar kee koee nishaani to paas ho
ThoRee see khaak-e-koocha-e-dilbar hee lay chalaiN
Yeh keh kay chaiRtee hai humaiN dil gariftagee
Ghabraa gaey haiN aap, to bahar hee lay chalaiN
Is shehar-e-bay_chiraaGH maiN jaey gee tu kahaaN
Aa ai shab-e-firaaq tujhay ghar hee lay chalaiN
![]()
Araaish-e-KHayal bhee ho dil kusha
bhee ho
Woh dard ab kahaN jisay jee chahta bhee ho
Yeh kya keh roz aik sa GHam aik see umeed
Is ranj-e-bay_KHumaar kee ab intiha bhee ho
Yeh kya keh aik taur say guzray tamaam umr
Jee chahta hai ab koi teray siva bhee ho
Tootay kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism
Itnay hujoom maiN koi chehra naya bhee ho
Deevangee-e-shauq ko yeh dhun hai in dinoN
Ghar bhee ho aur bay_dar-o-deevar sa bhee ho
Juz dil koi makaan nahiN dehr maiN jahaN
Rehzan ka KHauf bhee na rahay dar khula bhee ho
Har zarra aik mehmil-e-ibrat hai dasht ka
Laikin kisay dikhaooN koi daikhta bhee ho
Har shai pukaartee hai pas-e-pardah-e-sukoot
Laikin kisay sunaooN koi humnava bhee ho
Fursat maiN sun shugaftagee-e-GHunchah kee sada
Yeh woh sukhan nahiN jo kisi nay kaha bhee ho
Baitha hai aik shaKHs miray paas dair say
Koi bhala sa ho to hamaiN daikhta bhee ho
Bazm-e-sukhan bhee ho sukhan-e-garm kaileeay
Taoos bolta ho to jangal hara bhee ho
![]()
Aaj to mera dil kehta hai
Tu is waqt akayla hoga
Meray choomay hooay hathoN say
Aoron ko KHat likhta hoga
Bheeg chaleeN ab raat kee palkaiN
Tu ab thak kar soya hoga
Rail kee gehree seetee sun kar
Raat ka jangal goonja hoga
Sheher kay khalee station par
Koi musafir utra hoga
Aangan maiN phir chiRyaaN boleeN
Tu ab so kar utha hoga
YadoN kee jaltee shabnam say
Phool sa mukhRa dhoya hoga
Motee jaisee shakl bana kar
Aeenay ko takta hoga
Shaam hooee ab tu bhee shayad
Apnay ghar ko lauta hoga
Neelee dhundlee khamoshi maiN
Taron kee dhun sunta hoga
Mera saathi shaam ka taaraa
Tujh say aankh milata hoga
Shaam kay chaltay haath nay tujh ko
Mera salaam to bhaija hoga
Pyasee kurlaatee koonjon nay
Mera dukh to sunaya hoga
MaiN to aaj bohot roya hooN
Tu bhee shayad roya hoga
'Nasir' tera meet purana
Tujh ko yaad to ata hoga
![]()
Neeyat-e-shauq bhar na jaey kaheeN
Tu bhee dil say utar na jaey kaheeN
Aaj dekha hai tujh ko dair kay baad
Aaj ka din guzar na jaey kaheeN
Na mila ker udaas logoN say
Husn tera bikhar na jaey kaheeN
Aarzoo hai keh tu yahaaN aaey
Aur phir umr bhar na jaey kaheeN
Ji jalaata hooN or yeh sochta hooN
RaeygaaN yeh hunar na jaey kaheeN
Aao kuch dair ro hee laiN 'Nasir'
Phir yeh dariya utar na jaey kaheeN
![]()
Mumkin nahiN mata-e-sukhan mujh say
chheen lay
Go baGHbaaN yeh kanj-e-chaman mujh say chheen lay
Gar ehtiram-e-rasm-e-vafa hai to ai KHuda
Yeh ehtiraam-e-rasm-e-kohan mujh say chheen lay
Manzar dil-o-nigah kay jab ho gaey udaas
Yeh bay faza ilaqa-e-tan mujh say chheen lay
Gul raiz meree nalah kashtee say hai shaaKH shaaKH
Gul cheeN ka bas chalay to yeh fan mujh say cheen lay
Seenchee haiN dil keh khoon say maiN nay yeh kyariyaN
Kis kee majal mera chaman mujh say chheen lay
![]()
![]()