![]()
![]()
"Dil maiN kisi kay raah kiay ja
raha hoon maeN
Kitna haseen gunah kiay ja raha hoon maeN"
![]()
more to come...
![]()
Dil maiN kisi kay raah kiay ja
raha hoon maeN
Kitna haseen gunah kiay ja raha hoon maeN
Mujh say lagay hain ishq kee azmat ko char chand
Khud husn ko gavah kiay ja raha hoon maeN
Gulshan parast hoon mujhay gul hee nahin azeez
KantoN say hee nibah kiay ja raha hoon maeN
Yoon zindagi guzaar raha hoon teray baghar
Jaisay koi gunah kiay ja raha hoon maeN
Mujh say ada hooa hai 'Jigar' justujoo ka haq
Har zarray ko gavah kiay ja raha hoon maeN
![]()
Tabeeyat in dinoN begaana-e-gham
hoti jaati hai
Meray hissay ki goya har khushi kam hoti jaati hai
Wahi hai shahid-o-saaqi, magar dil bujhta jaata hai
Wahi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai
Qayaamat kya yeh ai husn-e-do aalam hoti jaati hai
Ke mehfil to wahi hai, dil kashi kam hoti jaati hai
Wahi maikhaana-o-sehba, wahi saaGHar wahi seesha
Magar aavaz-e-noshanosh maddham hoti jaati hai
Wahi hai zindagi lekin 'Jigar' yeh haal hai apna
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
![]()
![]()