![]()
![]()
"Raat yoon dil maiN teree khoee
hooee yaad aee...
Jaisay veeranay maiN chupkay say bahar aa jaey...
Jaisay sehra maiN holay say chalay
baad-e-naseem...
Jaisay beemaar ko bevajah qaraar aa jaey..."
![]()
more to come...
![]()
Dono jahaaN teri mohabbat maiN haar
kay
Woh jaa raha hai koee shab-e-GHam guzaar kay
VeeraaN hai maikadah KHam-o-saaGHar udaas hai
Tum kya gaey keh rooTh gaey din bahaar kay
Ik fursat-e-gunaah milee, woh bhee chaar din
Dekhay haiN hum nay hauslay parvar-digaar kay
Dunya nay teri yaad say baiganah kar diya
Tujh say bhee dilfaraib haiN GHam rozgaar kay
Bhoolay say muskuraa to deeay thay woh aaj 'Faiz'
Mat poochh valvalay dil-e-na-kardahkaar kay
![]()
Dasht-e-tanhaee maiN ai jaan-e-jahaaN
larzaaN hai
Teri aavaaz kay saaey, teray hontoN kay saraab
Dasht-e-tanhaee maiN dooree kay khas-o-khaak talay
Khil rahay haiN teray pehloo kay saman or gulaab
Uth rahee hai kaheeN qurbat say teri saaNs kee aanch
Apnee khushboo maiN sulagti hooee madham madham
Door ufaq paar chamaktee hooee qatra qatra
Gir rahee hai teri dildaar nazar kee shabnam
Is qadar payaar say ai jaan-e-jahaaN rakha hai
Dil kay rukhsaar pay is waqt teri yaad naiN haath
YooN gumaaN hota hai gerchay hai abhee subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gaee wasl ki raat
![]()
Hum par tumharee chaah ka ilzaam
hee to hai
Dush-naam to nahiN hai, yeh ikraam hee to hai
Kartay haiN jis peh ta'an, koi jurm to nahiN
Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hee to hai
Dil na-umeed to nahiN, na-kaam hee to hai
Lambee hai GHam ki shaam, magar shaam hee to hai
Dast-e-falak maiN, gardish-e-taqdeer to nahiN
Dast-e-falak maiN, gardish-e-ayaam hee to hai
![]()
Raaz-e-ulfat chhupa kay dekh liya
Dil bohot kuch jalaa kay dekh liya
Woh meray ho kay bhee meray na hooay
Un ko apna bana kay dekh liya
Aur kya dekhnay ko baaqi hai
Aap say dil laga kay dekh liya
'Faiz', takmeel-e-GHam bhee ho na sake
Ishq ko aazma kay dekh liya
![]()
Na ganvao navak-e-neem-kash, dil-e-rayza
rayza ganva diya
Jo bachay haiN sung samayT lo, tan-e-daagh daagh luta diya
Meray chaarah gar ko naveed ho, saf-e-dushmanaaN ko khabar
karo
Wo jo qarz rakhtay thay jaan per, wo hisaab aaj chuka diya
Karo kaj jabeeN pay sar-e-kafan, meray qaatiloN ko gumaaN
na ho
Keh gharoor-e-ishq ka baankpun, pas-e-marg hum naiN bhula diya
Udher aik harf keh kashtni, yahaaN laakh uzr tha guftani
Jo kaha to sun kay uRa diya, jo likha to paRh kay mita diya
Jo rukay to koh-e-garaaN thay hum, jo chalay to jaaN say
guzer ga'ay
Rah-e-yaar hum naiN qadam qadam, tujhay yaadgaar bana diya
![]()
GuloN maiN rang bharay, baad-e-naubahaar
chalay
Chalay bhi aao keh gulshan ka karobaar chalay
Qaffas udaas hai yaro, saba say kuch to kaho
KaheeN to behr-e-KHuda aaj zikr-e-yaar chalay
Kabhi to subh teray kunj-e-lab say ho aaghaaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul say mushkbaar chalay
BaRaa hai dard ka rishta, yeh dil ghareeb sahee
Tumhaaray naam pay aaeN gay GHamgusaar chalay
Hooa jo teer-e-nazar neemkash to kya hasil
Maza to jab hai keh seenay kay aar paar chalay
Jo hum pay guzri so guzri magar shab-e-hijraaN
Humaray ashk teri aaqibat sanwaar chalay
Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junooN ka talab
Giraah maiN lay kay garaybaaN ka taar taar chalay
Maqaam 'Faiz' koi raah maiN jacha hee nahiN
Jo koo-e-yaar say niklay to soo-e-daar chalay
![]()
![]()